kyon bujha sa lagta hai
kyoñ bujhā sā lagtā hai
dil dukhā sā lagtā hai
phir nazar na aa.egā
ham-navā sā lagtā hai
yuuñ to vo nahīñ koī
aasrā sā lagtā hai
vo ḳhulūs-mandī meñ
ik duā sā lagtā hai
apnī kāmrānī se
sar uThā sā lagtā hai
kyon bujha sa lagta hai
dil dukha sa lagta hai
phir nazar na aaega
ham-nawa sa lagta hai
yun to wo nahin koi
aasra sa lagta hai
wo KHulus-mandi mein
ek dua sa lagta hai
apni kaamrani se
sar uTha sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.