kyon farq kiye baiThe ho is ka hai sabab kya
kyoñ farq kiye baiThe ho is kā hai sabab kyā
haiñ asl meñ sab ek ajam kyā hai arab kyā
mumkin ho agar tum se to kirdār sañvāro
kaam aatā hai mahshar meñ koī nām-o-nasab kyā
tū ne nazar-andāz kyā ham ko hamesha
ham ne tirī mahfil ko jo chhoḌā to ajab kyā
ye mausam-e-gul maanā ki taskīñ kā sabab hai
Dhātā tumheñ mausam yahī is dil pe ġhazab kyā
ehsās-e-tamannā hī mire dil se miTā do
jab ġham nahīñ matlūb to ḳhushiyoñ kī talab kyā
phir ham se koī 'tāj' yahī pūchh rahā hai
barbādī-e-gulshan meñ hai poshīda sabab kyā
kyon farq kiye baiThe ho is ka hai sabab kya
hain asl mein sab ek ajam kya hai arab kya
mumkin ho agar tum se to kirdar sanwaro
kaam aata hai mahshar mein koi nam-o-nasab kya
tu ne nazar-andaz kya hum ko hamesha
hum ne teri mahfil ko jo chhoDa to ajab kya
ye mausam-e-gul mana ki taskin ka sabab hai
Dhata tumhein mausam yahi is dil pe ghazab kya
ehsas-e-tamanna hi mere dil se miTa do
jab gham nahin matlub to KHushiyon ki talab kya
phir hum se koi 'taj' yahi puchh raha hai
barbaadi-e-gulshan mein hai poshida sabab kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.