kyon giraata hai mere soch ki diwar koi
kyoñ girātā hai mire soch kī dīvār koī
kyoñ guzartā hai mire zehn se har baar koī
chauñk uTThā huuñ abhī apne ḳhayālāt se maiñ
yuuñ lagā jaise khaḌā ho pas-e-dīvār koī
maiñ havā huuñ to kahīñ se bhī guzar jā.ūñgā
kyoñ ba-zid hai mujhe karne pe giraftār koī
dekhte dekhte ḳhvāboñ kā nagar raakh huā
ghaas ke Dher meñ aa kar girā añgār koī
jhilmilāne lage vaadī meñ kahīñ duur diye
phir bulātā hai mujhe jhiil ke us paar koī
kyon giraata hai mere soch ki diwar koi
kyon guzarta hai mere zehn se har bar koi
chaunk uTTha hun abhi apne KHayalat se main
yun laga jaise khaDa ho pas-e-diwar koi
main hawa hun to kahin se bhi guzar jaunga
kyon ba-zid hai mujhe karne pe giraftar koi
dekhte dekhte KHwabon ka nagar rakh hua
ghas ke Dher mein aa kar gira angar koi
jhilmilane lage wadi mein kahin dur diye
phir bulata hai mujhe jhil ke us par koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.