kyon hain wo tegh ba-kaf aur KHafa kya jaane
kyoñ haiñ vo teġh ba-kaf aur ḳhafā kyā jaane
aaj kis shaḳhs kī aa.ī hai qazā kyā jaane
terā bīmār-e-ġham-e-hijr shifā kyā jaane
kaisī hotī hai davā aur du'ā kyā jaane
ham se pūchho hameñ mā'lūm hai ham jānte haiñ
ġhair kam-baḳht mohabbat kā mazā kyā jaane
duur ho paas se kam-baḳht tabīb-e-nādāñ
tū bhalā dard-e-mohabbat kī davā kyā jaane
pūchhā jab maiñ ne ki ai jaan mirā dil hai kahāñ
ban ke anjān sitam-gar ne kahā kyā jaane
mai-e-añgūr kī kartā hai mazammat vaa.iz
is kī lazzat ko tū ai mard-e-ḳhudā kyā jaane
bulbul-e-zār hai muddat se asīr-e-sayyād
āj-kal kaisī hai gulshan kī havā kyā jaane
yaar kam-sin bhī hai nādān bhī hai ai 'sābir'
vo abhī dil ke lubhāne kī adā kyā jaane
kyon hain wo tegh ba-kaf aur KHafa kya jaane
aaj kis shaKHs ki aai hai qaza kya jaane
tera bimar-e-gham-e-hijr shifa kya jaane
kaisi hoti hai dawa aur du'a kya jaane
hum se puchho hamein ma'lum hai hum jaante hain
ghair kam-baKHt mohabbat ka maza kya jaane
dur ho pas se kam-baKHt tabib-e-nadan
tu bhala dard-e-mohabbat ki dawa kya jaane
puchha jab main ne ki ai jaan mera dil hai kahan
ban ke anjaan sitam-gar ne kaha kya jaane
mai-e-angur ki karta hai mazammat waiz
is ki lazzat ko tu ai mard-e-KHuda kya jaane
bulbul-e-zar hai muddat se asir-e-sayyaad
aaj-kal kaisi hai gulshan ki hawa kya jaane
yar kam-sin bhi hai nadan bhi hai ai 'sabir'
wo abhi dil ke lubhane ki ada kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.