kyon hone lage dil mein ye ranj-o-mehan paida
kyon hone lage dil mein ye ranj-o-mehan paida
Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
MORE BYHakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
kyoñ hone lage dil meñ ye ranj-o-mehan paidā
yuuñ hone lagī mere siine meñ jalan paidā
kyoñ Tiis sī uThtī hai rah rah ke mire dil meñ
kyoñ hai ye ḳhalish āḳhir kyoñ hai ye chubhan paidā
maa.il hai sitam par kyoñ kuchh lutf uThāne de
phir hoñge na duniyā meñ ai charḳh-e-kuhan paidā
'saudā' hai na 'inshā' hai 'ġhālib' hai na 'akbar' hai
hoñ hind meñ phir aise arbāb-e-suḳhan paidā
dāvā-e-ġhazal-goī kartā hai agar 'kāmil'
shāgird kisī kā ho gar mashq-e-suḳhan paidā
kyon hone lage dil mein ye ranj-o-mehan paida
yun hone lagi mere sine mein jalan paida
kyon Tis si uThti hai rah rah ke mere dil mein
kyon hai ye KHalish aaKHir kyon hai ye chubhan paida
mail hai sitam par kyon kuchh lutf uThane de
phir honge na duniya mein ai charKH-e-kuhan paida
'sauda' hai na 'insha' hai 'ghaalib' hai na 'akbar' hai
hon hind mein phir aise arbab-e-suKHan paida
dawa-e-ghazal-goi karta hai agar 'kaamil'
shagird kisi ka ho gar mashq-e-suKHan paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.