kyon kah rahe ho naza mein humse KHafa na ho
kyoñ kah rahe ho naza.a meñ ham se ḳhafā na ho
us ko fareb do jo tumheñ jāntā na ho
ye chāhte haiñ ham ki koī dūsrā na ho
ḳhalvat ho ham hoñ tum ho tumhārī hayā na ho
ai dil ḳhudā ke vāste ham se ḳhafā na ho
husn-āshnā to thā hī sitam-āshnā na ho
vo ho jo terī shaan ke shāyāñ ho ai karīm
maiñ kyā kahūñ zabāñ se ki ab kyā ho kyā na ho
ye aur baat hai ki nayā āsmān hai
jo ho chuke bahut haiñ sitam ab nayā na ho
guzre maze se hashr kā din intizār meñ
maiñ bhī ye chāhtā huuñ ki va.ada vafā na ho
maiñ saḳht-jān duur ajal teġh-e-nāznīñ
ye kaam aap se kahīñ tanhā huā na ho
itnā hī to kahā thā ki jaage ho raat ke
ye rūThne kī baat nahīñ hai ḳhafā na ho
nāvak-fagan Thahar ki zarā dil sañbhāl luuñ
Dartā huuñ maiñ ki phir kahīñ nāvak ḳhatā na ho
ab ā.inoñ kī ḳhair nahīñ hai diloñ kī tarah
vo chāhte haiñ ham sā koī dūsrā na ho
apnī zabāñ se ham use be-dard kyoñ kaheñ
ye aur baat hai ki vo dard-āshnā na ho
lutf-e-kalām ye ki hasīñ sun ke hoñ fidā
'safdar' vo sher kyā hai ki jis meñ maza na ho
kyon kah rahe ho naza mein hum se KHafa na ho
us ko fareb do jo tumhein jaanta na ho
ye chahte hain hum ki koi dusra na ho
KHalwat ho hum hon tum ho tumhaari haya na ho
ai dil KHuda ke waste hum se KHafa na ho
husn-ashna to tha hi sitam-ashna na ho
wo ho jo teri shan ke shayan ho ai karim
main kya kahun zaban se ki ab kya ho kya na ho
ye aur baat hai ki naya aasman hai
jo ho chuke bahut hain sitam ab naya na ho
guzre maze se hashr ka din intizar mein
main bhi ye chahta hun ki wada wafa na ho
main saKHt-jaan dur ajal tegh-e-naznin
ye kaam aap se kahin tanha hua na ho
itna hi to kaha tha ki jage ho raat ke
ye ruThne ki baat nahin hai KHafa na ho
nawak-fagan Thahar ki zara dil sanbhaal lun
Darta hun main ki phir kahin nawak KHata na ho
ab aainon ki KHair nahin hai dilon ki tarah
wo chahte hain hum sa koi dusra na ho
apni zaban se hum use be-dard kyon kahen
ye aur baat hai ki wo dard-ashna na ho
lutf-e-kalam ye ki hasin sun ke hon fida
'safdar' wo sher kya hai ki jis mein maza na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.