kyon karte ho duniya ki har ek baat se tauba
kyoñ karte ho duniyā kī har ik baat se tauba
manzūr to hai merī mulāqāt se tauba
zāhid ne chhupāyā hai use gosha-e-dil meñ
bhāgī thī kisī rind-e-ḳharābāt se tauba
ye fasl agar hogī to har roz piyeñge
ham mai se kareñ tauba ki barsāt se tauba
duniyā kī koī baat hī achchhī nahīñ zāhid
is baat se tauba kabhī us baat se tauba
masjid nahīñ darbār hai ye pīr-e-muġhāñ kā
darvāze ke bāhar rahe auqāt se tauba
ye 'dāġh'-e-qadah-ḳhvār ke kyā jī meñ hai aa.ī
sunte haiñ kiye baiThe haiñ vo raat se tauba
kyon karte ho duniya ki har ek baat se tauba
manzur to hai meri mulaqat se tauba
zahid ne chhupaya hai use gosha-e-dil mein
bhagi thi kisi rind-e-KHarabaat se tauba
ye fasl agar hogi to har roz piyenge
hum mai se karen tauba ki barsat se tauba
duniya ki koi baat hi achchhi nahin zahid
is baat se tauba kabhi us baat se tauba
masjid nahin darbar hai ye pir-e-mughan ka
darwaze ke bahar rahe auqat se tauba
ye 'dagh'-e-qadah-KHwar ke kya ji mein hai aai
sunte hain kiye baiThe hain wo raat se tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.