kyoñ ḳhafā rashk-e-hūr hotā hai
aadmī se qusūr hotā hai
mai-e-ulfat se phir gayā jo dil
sūrat-e-shīsha chuur hotā hai
ḳhāk-e-āshiq se jo daraḳht ugā
tuur hotā hai nuur hotā hai
jis ko dekhā vo is zamāne meñ
apne nazdīk duur hotā hai
ḳhāksārī vo hai ki zarroñ par
roz bārān-e-nūr hotā hai
kis kī letā nahīñ ḳhabar ravāq
ālūdgī nā-subūr hotā hai
ai havas nān-e-dāġh bas na lagā
garm tūfāñ tanūr hotā hai
kashtī-e-mai nahīñ to ai saaqī
bahr-e-ġham se ubuur hotā hai
baaġh meñ jaao jaate ho jo 'nasīm'
sub.h ko vo zarūr hotā hai
kyon KHafa rashk-e-hur hota hai
aadmi se qusur hota hai
mai-e-ulfat se phir gaya jo dil
surat-e-shisha chur hota hai
KHak-e-ashiq se jo daraKHt uga
tur hota hai nur hota hai
jis ko dekha wo is zamane mein
apne nazdik dur hota hai
KHaksari wo hai ki zarron par
roz baran-e-nur hota hai
kis ki leta nahin KHabar rawaq
aaludgi na-subur hota hai
ai hawas nan-e-dagh bas na laga
garm tufan tanur hota hai
kashti-e-mai nahin to ai saqi
bahr-e-gham se ubur hota hai
bagh mein jao jate ho jo 'nasim'
subh ko wo zarur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.