kyon KHush hai us ka KHat jo tere nam aa gaya
kyoñ ḳhush hai us kā ḳhat jo tire naam aa gayā
kyā āsmān se koī paiġhām aa gayā
taklīf duur ho ga.ī ārām aa gayā
marnā taḌap taḌap ke mirā kaam aa gayā
hone do jitnī laġhzish-e-mastāna ho sake
aane do Thokaroñ meñ agar jaam aa gayā
duniyā meñ aane vaale kī taqsīr kuchh nahīñ
duniyā se jaane vaale pe ilzām aa gayā
jaate haiñ vaz’-dār kahīñ chhoḌ kar qafas
aane do gar bahār kā paiġhām aa gayā
tū bhī to ai musāfir-e-hastī qayām kar
manzil pe āftāb sar-e-shām aa gayā
sab kuchh tasavvurāt meñ aatā hai ab nazar
ai 'qadr' apnā zauq-e-nazar kaam aa gayā
kyon KHush hai us ka KHat jo tere nam aa gaya
kya aasman se koi paigham aa gaya
taklif dur ho gai aaram aa gaya
marna taDap taDap ke mera kaam aa gaya
hone do jitni laghzish-e-mastana ho sake
aane do Thokaron mein agar jam aa gaya
duniya mein aane wale ki taqsir kuchh nahin
duniya se jaane wale pe ilzam aa gaya
jate hain waz’-dar kahin chhoD kar qafas
aane do gar bahaar ka paigham aa gaya
tu bhi to ai musafir-e-hasti qayam kar
manzil pe aaftab sar-e-sham aa gaya
sab kuchh tasawwuraat mein aata hai ab nazar
ai 'qadr' apna zauq-e-nazar kaam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.