kyon milate ho sar-e-rah sar-e-am aankhen
kyoñ milāte ho sar-e-rāh sar-e-ām āñkheñ
be-sabab shahr meñ ho jā.eñgī badnām āñkheñ
dil-e-betāb ke kahne pe ḳhatā kartī haiñ
aur le letī haiñ sar apne pe ilzām āñkheñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ lagā daav pe sab kuchh apnā
ab ye Dar lagtā hai ho jaa.eñ na nākām āñkheñ
dekhne baiThīñ jo us ġhuncha-badan kā chehra
phir to bas bhuul ga.iiñ dūsre sab kaam āñkheñ
ab ki jab kuchh bhī nahīñ dekhne laa.iq baaqī
mujh meñ kyā DhūñD rahī haiñ ye siyah-fām āñkheñ
kaun thī kaun 'sadā' nargisī āñkhoñ vaalī
yaad kar ke jise nam hotī haiñ har shaam āñkheñ
kyon milate ho sar-e-rah sar-e-am aankhen
be-sabab shahr mein ho jaengi badnam aankhen
dil-e-betab ke kahne pe KHata karti hain
aur le leti hain sar apne pe ilzam aankhen
aankhon aankhon mein laga daw pe sab kuchh apna
ab ye Dar lagta hai ho jaen na nakaam aankhen
dekhne baiThin jo us ghuncha-badan ka chehra
phir to bas bhul gain dusre sab kaam aankhen
ab ki jab kuchh bhi nahin dekhne laiq baqi
mujh mein kya DhunD rahi hain ye siyah-fam aankhen
kaun thi kaun 'sada' nargisi aankhon wali
yaad kar ke jise nam hoti hain har sham aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.