kyon na ai dil jafa kare koi
kyoñ na ai dil jafā kare koī
rasm-e-ulfat hai kyā kare koī
laakh naala kiyā kare koī
nahīñ mumkin rihā kare koī
jab na baaqī ho quvvat-e-parvāz
kyā sitam hai rihā kare koī
maraz-e-ishq kā ilaaj nahīñ
kyā dil-e-mubtalā kare koī
dekh le tujh ko phir kahāñ mumkin
ḳhvāhish-e-mā-sivā kare koī
zabt-e-ġham kā hameñ bhī da.avā hai
hai jo zālim huā kare koī
dard-e-ulfat hai zindagī merī
ye samajh kar davā kare koī
zāt-e-vāhid hai paikar-e-insāf
us kī tārīf kyā kare koī
jalva-farmā kahāñ nahīñ vo 'salīm'
dīda-e-dil to vā kare koī
kyon na ai dil jafa kare koi
rasm-e-ulfat hai kya kare koi
lakh nala kiya kare koi
nahin mumkin riha kare koi
jab na baqi ho quwwat-e-parwaz
kya sitam hai riha kare koi
maraz-e-ishq ka ilaj nahin
kya dil-e-mubtala kare koi
dekh le tujh ko phir kahan mumkin
KHwahish-e-ma-siwa kare koi
zabt-e-gham ka hamein bhi dawa hai
hai jo zalim hua kare koi
dard-e-ulfat hai zindagi meri
ye samajh kar dawa kare koi
zat-e-wahid hai paikar-e-insaf
us ki tarif kya kare koi
jalwa-farma kahan nahin wo 'salim'
dida-e-dil to wa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.