kyon pareshan ho rahe ho ek chhoTi haar se
kyon pareshan ho rahe ho ek chhoTi haar se
Santosh Singh Shekhar
MORE BYSantosh Singh Shekhar
kyoñ pareshāñ ho rahe ho ek chhoTī haar se
ek makḌī laḌ rahī thī har dafa dīvār se
koī to āvāz de de ab mujhe bhī pyaar se
maiñ to tanhā ho gayā huuñ ishq meñ iz.hār se
krishn jaisā sārthī ab chāhtī hai zindagī
kaam sab bante nahīñ haiñ jang meñ hathiyār se
piiTh pīchhe ā.iyegā tab kahīñ mumkin ye ho
chāhte haiñ gar mujhe yuuñ jītnā talvār se
zindagī se tang aakar band kamre meñ huuñ maiñ
tang aane lag gayā huuñ hijr ke kirdār se
maiñ ne kashtī bhī bahā dī bārishoñ ke vasl meñ
maiñ nahīñ ab aane vaalā dariyā ke us paar se
zindagī se us ne bāhar kar diyā maulā mujhe
ab karo tum mujh ko bāhar ruuh kī dīvār se
kyon pareshan ho rahe ho ek chhoTi haar se
ek makDi laD rahi thi har dafa diwar se
koi to aawaz de de ab mujhe bhi pyar se
main to tanha ho gaya hun ishq mein izhaar se
krishn jaisa sarthi ab chahti hai zindagi
kaam sab bante nahin hain jang mein hathiyar se
piTh pichhe aaiyega tab kahin mumkin ye ho
chahte hain gar mujhe yun jitna talwar se
zindagi se tang aakar band kamre mein hun main
tang aane lag gaya hun hijr ke kirdar se
main ne kashti bhi baha di barishon ke wasl mein
main nahin ab aane wala dariya ke us par se
zindagi se us ne bahar kar diya maula mujhe
ab karo tum mujh ko bahar ruh ki diwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.