kyon shor machate ho be-kar mein pahle se
kyoñ shor machāte ho be-kār meñ pahle se
jab jhuuT hī chhaptā hai aḳhbār meñ pahle se
hotā hai yahī sab kuchh sansār meñ pahle se
biktī hai mohabbat bhī bāzār meñ pahle se
ham log samajhte the ki ham haiñ yahāñ avval
kuchh log chune paa.e dīvār meñ pahle se
bas haath se chhūne par mahsūs tumheñ hogā
soyā hai koī dariyā añgār meñ pahle se
phailā to lahar ban kar ākāsh ko chhū aayā
qatra hī samundar thā ākār meñ pahle se
duniyā ke sabhī parvat kyā rok sake us ko
āvāz hī rahtī hai raftār meñ pahle se
hālāt havā ban kar sho.ale meñ badalte haiñ
ik aag to hotī hai fan-kār meñ pahle se
kyon shor machate ho be-kar mein pahle se
jab jhuT hi chhapta hai aKHbar mein pahle se
hota hai yahi sab kuchh sansar mein pahle se
bikti hai mohabbat bhi bazar mein pahle se
hum log samajhte the ki hum hain yahan awwal
kuchh log chune pae diwar mein pahle se
bas hath se chhune par mahsus tumhein hoga
soya hai koi dariya angar mein pahle se
phaila to lahar ban kar aakash ko chhu aaya
qatra hi samundar tha aakar mein pahle se
duniya ke sabhi parwat kya rok sake us ko
aawaz hi rahti hai raftar mein pahle se
haalat hawa ban kar shoale mein badalte hain
ek aag to hoti hai fan-kar mein pahle se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.