kyon tir mere sine ke us par nahin hai
kyoñ tiir mere siine ke us paar nahīñ hai
shāyad tirī nazroñ meñ abhī dhaar nahīñ hai
vo rāz-e-dil āñkhoñ se samajh jaa.e to achchhā
mujh meñ to kahīñ jur.at-e-iz.hār nahīñ hai
hañste hue taslīm karo dhuup kī chādar
qismat meñ agar sāya-e-dīvār nahīñ hai
Thokar jo lagī ham ne sañbhal kar yahī jaanā
ik raah kā patthar bhī to bekār nahīñ hai
kyon tir mere sine ke us par nahin hai
shayad teri nazron mein abhi dhaar nahin hai
wo raaz-e-dil aankhon se samajh jae to achchha
mujh mein to kahin jurat-e-izhaar nahin hai
hanste hue taslim karo dhup ki chadar
qismat mein agar saya-e-diwar nahin hai
Thokar jo lagi hum ne sanbhal kar yahi jaana
ek rah ka patthar bhi to bekar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.