kyon tum se ilaj-e-dil-e-shaida nahin hota
kyoñ tum se ilāj-e-dil-e-shaidā nahīñ hotā
kyā dard-e-mohabbat kā mudāvā nahīñ hotā
tūfān-e-balā-ḳhez hai har ashk-e-mohabbat
kyūñkar kahīñ qatra kabhī dariyā nahīñ hotā
miltā hī nahīñ sāġhar-e-mai bāda-kashoñ ko
jab tak tirī āñkhoñ kā ishārā nahīñ hotā
chhan-chhan ke umaDtī chalī aatī hai tajallī
koshish bhī kareñ aap to pardā nahīñ hotā
bekār hai arbāb-e-zamāna kī shikāyat
koī bhī zamāne meñ kisī kā nahīñ hotā
jab tak koī muñh moḌ na le dair-o-haram se
asrār-e-haqīqat kā shanāsā nahīñ hotā
tere sitam-o-jaur se haiñ band zabāneñ
ya.anī tirī bedād kā charchā nahīñ hotā
'shaidā' ye duā hai ki burā vaqt na aa.e
apnā bhī bure vaqt meñ apnā nahīñ hotā
kyon tum se ilaj-e-dil-e-shaida nahin hota
kya dard-e-mohabbat ka mudawa nahin hota
tufan-e-bala-KHez hai har ashk-e-mohabbat
kyunkar kahin qatra kabhi dariya nahin hota
milta hi nahin saghar-e-mai baada-kashon ko
jab tak teri aankhon ka ishaara nahin hota
chhan-chhan ke umaDti chali aati hai tajalli
koshish bhi karen aap to parda nahin hota
bekar hai arbab-e-zamana ki shikayat
koi bhi zamane mein kisi ka nahin hota
jab tak koi munh moD na le dair-o-haram se
asrar-e-haqiqat ka shanasa nahin hota
tere sitam-o-jaur se hain band zabanen
yani teri bedad ka charcha nahin hota
'shaida' ye dua hai ki bura waqt na aae
apna bhi bure waqt mein apna nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.