kyon zamane ka hum gila na karen
kyoñ zamāne kā ham gila na kareñ
kuchh bhī ho koī iltijā na kareñ
hukm-e-hākim ajiib hai yaaro
sab sitam sah leñ aur gila na kareñ
sabr-o-taslīm to sarisht meñ hai
ġhair mumkin hai ham vafā na kareñ
kis tarah us ko bhuul sakte haiñ
apne maulā se kyā duā na kareñ
lutf-o-ehsāñ kī hadd-o-bast kahāñ
arz kyoñ harf-e-mudda.ā na kareñ
kāsa-e-dil ba-dast pur-ummīd
munqata.a rishta-e-vafā na kareñ
ḳhūn-e-nāhaq to rā.egāñ na gayā
kyoñ bhalā zikr-e-karbalā na kareñ
jurm-e-nā-karda kī sazā 'sādiq'
paa.eñ ma.asūm ye ḳhatā na kareñ
kyon zamane ka hum gila na karen
kuchh bhi ho koi iltija na karen
hukm-e-hakim ajib hai yaro
sab sitam sah len aur gila na karen
sabr-o-taslim to sarisht mein hai
ghair mumkin hai hum wafa na karen
kis tarah us ko bhul sakte hain
apne maula se kya dua na karen
lutf-o-ehsan ki hadd-o-bast kahan
arz kyon harf-e-muddaa na karen
kasa-e-dil ba-dast pur-ummid
munqata rishta-e-wafa na karen
KHun-e-nahaq to raegan na gaya
kyon bhala zikr-e-karbala na karen
jurm-e-na-karda ki saza 'sadiq'
paen masum ye KHata na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.