kyun aankh se surKHi ab chhalki hui lagti hai
kyuuñ aañkh se surḳhī ab chhalkī huī lagtī hai
ye niiñd kī raanī bhī rūThī huī lagtī hai
yādoñ kā tasalsul hai ghanghor judā.ī hai
sāvan kī tarah ye bhī chhā.ī huī lagtī hai
sūjhe na mudāvā kyuuñ ḳhud mere masīhā ko
zaḳhmoñ kī tarah chāhat ristī huī lagtī hai
āvāz ye kis ne dī phir yaad ye kaun aayā
be-tābī-e-dil kuchh kuchh sambhalī huī lagtī hai
guzrī hai gulāboñ ko dāman meñ ḳhizāñ bhar ke
har shāḳh-e-chaman lekin mahkī huī lagtī hai
bāzār-e-mohabbat ke tājir haiñ sitam-pesha
ai 'bāno' tirī qīmat lagtī huī lagtī hai
kyun aankh se surKHi ab chhalki hui lagti hai
ye nind ki rani bhi ruThi hui lagti hai
yaadon ka tasalsul hai ghanghor judai hai
sawan ki tarah ye bhi chhai hui lagti hai
sujhe na mudawa kyun KHud mere masiha ko
zaKHmon ki tarah chahat risti hui lagti hai
aawaz ye kis ne di phir yaad ye kaun aaya
be-tabi-e-dil kuchh kuchh sambhali hui lagti hai
guzri hai gulabon ko daman mein KHizan bhar ke
har shaKH-e-chaman lekin mahki hui lagti hai
bazar-e-mohabbat ke tajir hain sitam-pesha
ai 'bano' teri qimat lagti hui lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.