kyun aapko KHalwat mein laDai ki paDi hai
kyuuñ aap ko ḳhalvat meñ laḌā.ī kī paḌī hai
milne kī ghaḌī hai ki ye laḌne kī ghaḌī hai
kyā chashm-e-ināyat kā tirī mujh ko bharosa
laḌ laḌ ke milī hai kabhī mil mil ke laḌī hai
kyā jāniye kyā haal hamārā ho shab-e-hijr
allāh abhī chaar pahar raat paḌī hai
talvār liye vo nahīñ maqtal meñ khaḌe haiñ
is vaqt mire aage mirī maut khaḌī hai
jiine nahīñ dete haiñ vo marne nahīñ dete
ai 'nūh' mirī jaan kashākash meñ paḌī hai
kyun aap ko KHalwat mein laDai ki paDi hai
milne ki ghaDi hai ki ye laDne ki ghaDi hai
kya chashm-e-inayat ka teri mujh ko bharosa
laD laD ke mili hai kabhi mil mil ke laDi hai
kya jaaniye kya haal hamara ho shab-e-hijr
allah abhi chaar pahar raat paDi hai
talwar liye wo nahin maqtal mein khaDe hain
is waqt mere aage meri maut khaDi hai
jine nahin dete hain wo marne nahin dete
ai 'nuh' meri jaan kashakash mein paDi hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 147)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.