kyun ai gham-e-firaq ye kya baat ho gai
kyuuñ ai ġham-e-firāq ye kyā baat ho ga.ī
ham intizār-e-sub.h meñ the raat ho ga.ī
bahke hue bhaTakte hue kārvāñ kī ḳhair
rahbar se rāhzan kī mulāqāt ho ga.ī
dīvāngī kī ḳhair na māñgeñ to kyā kareñ
dīvāngī hī rāz-e-ināyāt ho ga.ī
sīnoñ meñ soz-o-sāz-e-mohabbat nahīñ rahā
duniyā rahīn-e-gardish-e-hālāt ho ga.ī
lo Dūbtoñ ne dekh liyā nāḳhudā ko aaj
taqrīb kuchh to bahr-e-mulāqāt ho ga.ī
kyun ai gham-e-firaq ye kya baat ho gai
hum intizar-e-subh mein the raat ho gai
bahke hue bhaTakte hue karwan ki KHair
rahbar se rahzan ki mulaqat ho gai
diwangi ki KHair na mangen to kya karen
diwangi hi raaz-e-inayat ho gai
sinon mein soz-o-saz-e-mohabbat nahin raha
duniya rahin-e-gardish-e-haalat ho gai
lo Dubton ne dekh liya naKHuda ko aaj
taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat ho gai
- Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 52)
- Author : ZEHRA NIGAAH
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.