Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya

Abul Kalam Azad

kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya

Abul Kalam Azad

MORE BYAbul Kalam Azad

    kyuuñ asīr-e-gesū-e-ḳham-dār-e-qātil ho gayā

    haa.e kyā baiThe-biThā.e tujh ko ai dil ho gayā

    koī nālāñ koī giryāñ koī bismil ho gayā

    us ke uThte digar-gūñ rang-e-mahfil ho gayā

    intizār us gul is darja kiyā gulzār meñ

    nuur āḳhir dīda-e-nargis zaa.il ho gayā

    us ne talvāreñ lagā.īñ aise kuchh andāz se

    dil har armāñ fidā-e-dast-e-qātil ho gayā

    qais-e-majnūñ tasavvur baḌh gayā jab najd meñ

    har bagūla dasht lailā-e-mahmil ho gayā

    ye bhī qaidī ho gayā āḳhir kamand-e-zulf

    le asīroñ meñ tire 'āzād' shāmil ho gayā

    kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya

    hae kya baiThe-biThae tujh ko ai dil ho gaya

    koi nalan koi giryan koi bismil ho gaya

    us ke uThte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gaya

    intizar us gul ka is darja kiya gulzar mein

    nur aaKHir dida-e-nargis ka zail ho gaya

    us ne talwaren lagain aise kuchh andaz se

    dil ka har arman fida-e-dast-e-qatil ho gaya

    qais-e-majnun ka tasawwur baDh gaya jab najd mein

    har bagula dasht ka laila-e-mahmil ho gaya

    ye bhi qaidi ho gaya aaKHir kamand-e-zulf ka

    le asiron mein tere 'azad' shamil ho gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : muntakhab sho'raa (Pg. pdf)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now