kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata
kyuuñ chup haiñ vo be-bāt samajh meñ nahīñ aatā
ye rañg-e-mulāqāt samajh meñ nahīñ aatā
kyā dād-e-suḳhan ham tumheñ deñ hazrat-e-nāseh
hai sau kī ye ik baat samajh meñ nahīñ aatā
shaiḳh aur bhalā.ī se kare tazkira terā
ai pīr-e-ḳharābāt samajh meñ nahīñ aatā
saaya bhī shab-e-hijr kī zulmat meñ chhupā hai
ab kis se kareñ baat samajh meñ nahīñ aatā
mushtāq-e-sitam aap haiñ mushtāq-e-ajal ham
phir kyuuñ ye rukā haat samajh meñ nahīñ aatā
rokā unheñ jaane se sar-e-shām to bole
kyuuñ karte ho tum raat samajh meñ nahīñ aatā
dil ek hai aur is ke talabgār hazāroñ
deñ kis ko ye sauġhāt samajh meñ nahīñ aatā
kyūñ-kar kahūñ 'ahsan' ki adū dost hai merā
ho nek vo bad-zāt samajh meñ nahīñ aatā
kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata
ye rang-e-mulaqat samajh mein nahin aata
kya dad-e-suKHan hum tumhein den hazrat-e-naseh
hai sau ki ye ek baat samajh mein nahin aata
shaiKH aur bhalai se kare tazkira tera
ai pir-e-KHarabaat samajh mein nahin aata
saya bhi shab-e-hijr ki zulmat mein chhupa hai
ab kis se karen baat samajh mein nahin aata
mushtaq-e-sitam aap hain mushtaq-e-ajal hum
phir kyun ye ruka hat samajh mein nahin aata
roka unhen jaane se sar-e-sham to bole
kyun karte ho tum raat samajh mein nahin aata
dil ek hai aur is ke talabgar hazaron
den kis ko ye saughat samajh mein nahin aata
kyun-kar kahun 'ahsan' ki adu dost hai mera
ho nek wo bad-zat samajh mein nahin aata
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 28)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.