kyun dil hai be-qarar mujhe kuchh pata nahin
kyuuñ dil hai be-qarār mujhe kuchh pata nahīñ
kis kā hai intizār mujhe kuchh pata nahīñ
bas ho gayā hai jaan se pyārā koī mujhe
kahte haiñ kis ko pyaar mujhe kuchh pata nahīñ
duniyā meñ kyā huuñ kaun huuñ kyā naam hai mirā
mat pūchh baar baar mujhe kuchh pata nahīñ
pesh-e-nigāh aag kā dariyā hai duur tak
hai kaun sā dayār mujhe kuchh pata nahīñ
dushman hai kaun faisla ho hī nahīñ rahā
hai kaun ġham-gusār mujhe kuchh pata nahīñ
maiñ ne sadā ḳhizāoñ se rakkhī hai dostī
hotī hai kyā bahār mujhe kuchh pata nahīñ
kyun dil hai be-qarar mujhe kuchh pata nahin
kis ka hai intizar mujhe kuchh pata nahin
bas ho gaya hai jaan se pyara koi mujhe
kahte hain kis ko pyar mujhe kuchh pata nahin
duniya mein kya hun kaun hun kya nam hai mera
mat puchh bar bar mujhe kuchh pata nahin
pesh-e-nigah aag ka dariya hai dur tak
hai kaun sa dayar mujhe kuchh pata nahin
dushman hai kaun faisla ho hi nahin raha
hai kaun gham-gusar mujhe kuchh pata nahin
main ne sada KHizaon se rakkhi hai dosti
hoti hai kya bahaar mujhe kuchh pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.