kyun jeb mein mulla meri taqdir liye hai
kyuuñ jeb meñ mullā mirī taqdīr liye hai
kyuuñ raah kā har moḌ koī piir liye hai
kartā hai shab-o-roz jo sarkār kī tārīf
ye shaḳhs bhī shāyad koī jāgīr liye hai
sar ek bhī maiñ ne yahāñ ūñchā nahīñ dekhā
pāgal hai jo ab haath meñ shamshīr liye hai
har peḌ se aatī hai mire dost kī ḳhushbū
har phuul mire shoḳh kī tasvīr liye hai
ik ajnabī miltā hai baḌe pyaar se 'aḳhtar'
kyā vo bhī koī hasrat dil-gīr liye hai
kyun jeb mein mulla meri taqdir liye hai
kyun rah ka har moD koi pir liye hai
karta hai shab-o-roz jo sarkar ki tarif
ye shaKHs bhi shayad koi jagir liye hai
sar ek bhi main ne yahan uncha nahin dekha
pagal hai jo ab hath mein shamshir liye hai
har peD se aati hai mere dost ki KHushbu
har phul mere shoKH ki taswir liye hai
ek ajnabi milta hai baDe pyar se 'aKHtar'
kya wo bhi koi hasrat dil-gir liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.