kyun KHalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue
kyun KHalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue
Mushfiq Khwaja
MORE BYMushfiq Khwaja
kyuuñ ḳhalvat-e-ġham meñ rahte ho kyuuñ gosha-nashīñ bekār hue
āḳhir tumheñ sadma kyā pahuñchā kyā soch ke ḳhud-āzār hue
kyuuñ saaf kushāda rastoñ par tum Thokareñ khāte phirte ho
kyuuñ tīra-o-tār sī galiyoñ meñ tum aan ke ḳhush-raftār hue
kyuuñ rāsta chhoḌ ke chalte ho kyuuñ logoñ se katrāte ho
kyuuñ chalte phirte apne liye tum aap hī ik dīvār hue
kyā uThte baiThte sochte ho kyā likhte paḌhte rahte ho
is umr meñ ye be-kaifī kyuuñ kis vāste nek-atvār hue
kyuuñ aise safar par nikle ho manzil nahīñ jis kī koī bhī
kyuuñ raah pe aisī chalte ho saa.e bhī jahāñ dīvār hue
kyuuñ tark-e-alā.iq ko tum ne samjhā hai ilāj-e-ġham āḳhir
dekho to valī suufī bhī yahāñ kis ThaaT ke duniyā-dār hue
māyūsī-e-paiham se tum ne yārāna ye kaisā gāñThā hai
andoh-o-alam the jitne bhī āḳhir vo gale kā haar hue
is kalba-e-ahzāñ se hargiz ubhregā na sūraj koī bhī
kab ḳhaak sitāra-bār huī kab saa.e sahar-āsār hue
kab sub.h ke naale kaam aa.e kyā girya-e-nīm-shabī se milā
is qarya-e-ḳhvāb-e-faroshāñ meñ tum kis ke liye bedār hue
bekār ulajhte rahte ho kyuuñ ulTī sīdhī bātoñ meñ
ye marhale vasl-o-hijrañ ke ab aise bhī kyuuñ dushvār hue
us kūche kī raah to samjhāo jis kūche meñ jaanā mushkil hai
us shaḳhs kā naam to batlāo tum jis ke liye bīmār hue
mushfiq ne ye bāteñ sun ke kahā bāteñ na huiiñ ash.ār hue
ye dard baTāne vaale bhī kis shaan ke ḳhush-guftār hue
sad-shukr ki ḳhush-uslūbī se takmīl ko pahuñchī rusvā.ī
muhtāj-e-duā the jo ḳhud hī āḳhir vo mire ġham-ḳhvār hue
kyun KHalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue
aaKHir tumhein sadma kya pahuncha kya soch ke KHud-azar hue
kyun saf kushada raston par tum Thokaren khate phirte ho
kyun tira-o-tar si galiyon mein tum aan ke KHush-raftar hue
kyun rasta chhoD ke chalte ho kyun logon se katraate ho
kyun chalte phirte apne liye tum aap hi ek diwar hue
kya uThte baiThte sochte ho kya likhte paDhte rahte ho
is umr mein ye be-kaifi kyun kis waste nek-atwar hue
kyun aise safar par nikle ho manzil nahin jis ki koi bhi
kyun rah pe aisi chalte ho sae bhi jahan diwar hue
kyun tark-e-alaiq ko tum ne samjha hai ilaj-e-gham aaKHir
dekho to wali sufi bhi yahan kis ThaT ke duniya-dar hue
mayusi-e-paiham se tum ne yarana ye kaisa ganTha hai
andoh-o-alam the jitne bhi aaKHir wo gale ka haar hue
is kalba-e-ahzan se hargiz ubhrega na suraj koi bhi
kab KHak sitara-bar hui kab sae sahar-asar hue
kab subh ke nale kaam aae kya girya-e-nim-shabi se mila
is qarya-e-KHwab-e-faroshan mein tum kis ke liye bedar hue
bekar ulajhte rahte ho kyun ulTi sidhi baaton mein
ye marhale wasl-o-hijran ke ab aise bhi kyun dushwar hue
us kuche ki rah to samjhao jis kuche mein jaana mushkil hai
us shaKHs ka nam to batlao tum jis ke liye bimar hue
mushfiq ne ye baaten sun ke kaha baaten na huin ashaar hue
ye dard baTane wale bhi kis shan ke KHush-guftar hue
sad-shukr ki KHush-uslubi se takmil ko pahunchi ruswai
muhtaj-e-dua the jo KHud hi aaKHir wo mere gham-KHwar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.