Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun kiya karte hain aahen koi humse puchhe

Mubarak Azimabadi

kyun kiya karte hain aahen koi humse puchhe

Mubarak Azimabadi

MORE BYMubarak Azimabadi

    kyuuñ kiyā karte haiñ aaheñ koī ham se pūchhe

    kar ga.iiñ kyā vo nigāheñ koī ham se pūchhe

    le ke dil un ke mukarne adā kyā kahiye

    kyuuñ palaTtī haiñ nigāheñ koī ham se pūchhe

    dost dushman ko banānā koī tum se sīkhe

    dostī kaisī nibāheñ koī ham se pūchhe

    nīchī nazreñ kiye aate ho jahāñ se samjhe

    jheñptī kyuuñ haiñ nigāheñ koī ham se pūchhe

    dil meñ aane ke 'mubārak' haiñ hazāroñ raste

    ham batā.eñ use rāheñ koī ham se pūchhe

    kyun kiya karte hain aahen koi hum se puchhe

    kar gain kya wo nigahen koi hum se puchhe

    le ke dil un ke mukarne ki ada kya kahiye

    kyun palaTti hain nigahen koi hum se puchhe

    dost dushman ko banana koi tum se sikhe

    dosti kaisi nibahen koi hum se puchhe

    nichi nazren kiye aate ho jahan se samjhe

    jhenpti kyun hain nigahen koi hum se puchhe

    dil mein aane ke 'mubarak' hain hazaron raste

    hum bataen use rahen koi hum se puchhe

    Source :
    • Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 46)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now