kyun mujhse gurezan hai main tera muqaddar hun
kyuuñ mujh se gurezāñ hai maiñ terā muqaddar huuñ
ai umr-e-ravāñ ḳhush huuñ maiñ tujh ko mayassar huuñ
maiñ aap bahār apnī maiñ apnā hī manzar huuñ
ḳhud apne hī ḳhvāboñ kī ḳhushbū se mo'attar huuñ
be-rañg na vāpas kar ik sañg hī de sar ko
kab se tirā tālib huuñ kab se tire dar par huuñ
jab jaisī zarūrat ho ban jaatā huuñ vaisā hī
ḳhud apnī tabī'at meñ shīsha huuñ na patthar huuñ
lamhoñ ke tasalsul meñ marzī hai mirī shāmil
maiñ vaqt kī shah-rag par rakkhā huā ḳhanjar huuñ
āsūda huuñ maiñ apne vīrāna-e-hastī meñ
duniyā tujhe milne ke imkān se bāhar huuñ
jab chāhūñ simaT kar maiñ zarre meñ samā jā.ūñ
vus'at meñ to vaise hī sahrā huuñ samundar huuñ
kyun mujh se gurezan hai main tera muqaddar hun
ai umr-e-rawan KHush hun main tujh ko mayassar hun
main aap bahaar apni main apna hi manzar hun
KHud apne hi KHwabon ki KHushbu se mo'attar hun
be-rang na wapas kar ek sang hi de sar ko
kab se tera talib hun kab se tere dar par hun
jab jaisi zarurat ho ban jata hun waisa hi
KHud apni tabi'at mein shisha hun na patthar hun
lamhon ke tasalsul mein marzi hai meri shamil
main waqt ki shah-rag par rakkha hua KHanjar hun
aasuda hun main apne virana-e-hasti mein
duniya tujhe milne ke imkan se bahar hun
jab chahun simaT kar main zarre mein sama jaun
wus'at mein to waise hi sahra hun samundar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.