kyun na hum ahd-e-rifaqat ko bhulane lag jaen
kyuuñ na ham ahd-e-rifāqat ko bhulāne lag jaa.eñ
shāyad is zaḳhm ko bharne meñ zamāne lag jaa.eñ
nahīñ aisā bhī ki ik umr kī qurbat ke nashe
ek do roz kī ranjish se Thikāne lag jaa.eñ
yahī nāseh jo hameñ tujh se na milne ko kaheñ
tujh ko dekheñ to tujhe dekhne aane lag jaa.eñ
ham ki haiñ lazzat-e-āzār ke maare hue log
chāragar aa.eñ to zaḳhmoñ ko chhupāne lag jaa.eñ
rabt ke saiñkaḌoñ hiile haiñ mohabbat na sahī
ham tire saath kisī aur bahāne lag jaa.eñ
sāqiyā masjid o maktab to nahīñ mai-ḳhāna
dekhnā phir bhī ġhalat log na aane lag jaa.eñ
qurb achchhā hai magar itnī bhī shiddat se na mil
ye na ho tujh ko mire rog purāne lag jaa.eñ
ab 'farāz' aao chaleñ apne qabīle kī taraf
shā.irī tark kareñ bojh uThāne lag jaa.eñ
kyun na hum ahd-e-rifaqat ko bhulane lag jaen
shayad is zaKHm ko bharne mein zamane lag jaen
nahin aisa bhi ki ek umr ki qurbat ke nashe
ek do roz ki ranjish se Thikane lag jaen
yahi naseh jo hamein tujh se na milne ko kahen
tujh ko dekhen to tujhe dekhne aane lag jaen
hum ki hain lazzat-e-azar ke mare hue log
chaaragar aaen to zaKHmon ko chhupane lag jaen
rabt ke sainkaDon hile hain mohabbat na sahi
hum tere sath kisi aur bahane lag jaen
saqiya masjid o maktab to nahin mai-KHana
dekhna phir bhi ghalat log na aane lag jaen
qurb achchha hai magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko mere rog purane lag jaen
ab 'faraaz' aao chalen apne qabile ki taraf
shairi tark karen bojh uThane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.