Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun na hun hairan teri har baat ka

Jurat Qalandar Bakhsh

kyun na hun hairan teri har baat ka

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    kyuuñ na huuñ hairāñ tirī har baat

    husn muraqqa.a hai tilismāt

    ro.uuñ to ḳhush ho ke piye hai vo mai

    samjhe hai mausam ise barsāt

    uThtī javānī jo hai to din-ba-din

    aur aalam hai kuchh is gaat

    ghar meñ bulāyā hai to kuchh muñh se do

    sīkho ye Dhab ham se mudārāt

    shaiḳh javāñ hogā dekh ise

    shīshe meñ paanī hai karāmāt

    ham na mileñ tum se to nikle hai jaañ

    aur tumheñ aalam hai musāvāt

    us ne ab kam-suḳhanī iḳhtiyār

    jis ko maza thā mirī har baat

    aañkh bhī miltī hai to nā-āshnā

    ab vo kahāñ lutf ishārāt

    rone hai sun ise ham-nashīñ

    to hai mahram mire auqāt

    hukm huā raat ko aao na yaañ

    din ko rakho taur mulāqāt

    dil ke aTakte huā hai sitam

    farq mulāqāt meñ din raat

    baat na.ī sūjhe hai 'jur.at' tujhe

    maiñ to huuñ āshiq tirī is baat

    kyun na hun hairan teri har baat ka

    husn muraqqa hai tilismat ka

    roun to KHush ho ke piye hai wo mai

    samjhe hai mausam ise barsat ka

    uThti jawani jo hai to din-ba-din

    aur hi aalam hai kuchh is gat ka

    ghar mein bulaya hai to kuchh munh se do

    sikho ye Dhab hum se mudaraat ka

    shaiKH jawan hoga tu pi dekh ise

    shishe mein pani hai karamat ka

    hum na milen tum se to nikle hai jaan

    aur tumhein aalam hai musawat ka

    us ne ki ab kam-suKHani iKHtiyar

    jis ko maza tha meri har baat ka

    aankh bhi milti hai to na-ashna

    ab wo kahan lutf ishaaraat ka

    rone ki ja hai sun ise ham-nashin

    tu to hai mahram mere auqat ka

    hukm hua raat ko aao na yan

    din ko rakho taur mulaqat ka

    dil ke aTakte hi hua hai sitam

    farq mulaqat mein din raat ka

    baat nai sujhe hai 'jurat' tujhe

    main to hun aashiq teri is baat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now