kyunkar gali mein isko main ai ham-rahan rahun
kyunkar gali mein isko main ai ham-rahan rahun
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
kyūñkar galī meñ is kī maiñ ai ham-rahāñ rahūñ
is ārzu-e-dil pe hai vaañ to na ''hāñ'' na ''hūñ''
paatā huuñ maiñ jahāñ use hote haiñ vaañ muḳhil
hairāñ huuñ ab ki rāz-e-dil us se kahāñ kahūñ
bas band kar zabāñ ki sune ai zabāñ-darāz
kab tak tirī zabāñ se koī kam zabāñ-zubūñ
shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgār dil mirā
āḳhir huā ba-dostī-e-dil-barāñ barūñ
zāhir hai qatl-e-āshiq-e-muztar ki ḳhuuñ se surḳh
hai qasr-e-ḳhāna kā tire ai dil-sitāñ sutūñ
qaa.il ba-dil huuñ tab amal-e-hub kā maiñ ki jab
us shoḳh se ba-jadd-o-kad-e-a.amilāñ milūñ
be-yār jab lage mujhe zindāñ se ghar batar
barbād kyūñki ishq meñ phir ḳhāndāñ na duuñ
kyā ḳhaak āb-dārī-e-teġh us se ho ki hai
vo chashm-e-surma-sā jo ba-sañg-e-fasāñ fusūñ
'jur.at' zi-bas haiñ ahl-e-jahāñ harf-e-nā-shunū
dāḳhil suḳhan maiñ kyūñki ba-gosh-e-girāñ karūñ
kyunkar gali mein is ki main ai ham-rahan rahun
is aarzu-e-dil pe hai wan to na han na hun
pata hun main jahan use hote hain wan muKHil
hairan hun ab ki raaz-e-dil us se kahan kahun
bas band kar zaban ki sune ai zaban-daraaz
kab tak teri zaban se koi kam zaban-zubun
shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgar dil mera
aaKHir hua ba-dosti-e-dil-baran barun
zahir hai qatl-e-ashiq-e-muztar ki KHun se surKH
hai qasr-e-KHana ka tere ai dil-sitan sutun
qail ba-dil hun tab amal-e-hub ka main ki jab
us shoKH se ba-jadd-o-kad-e-amilan milun
be-yar jab lage mujhe zindan se ghar batar
barbaad kyunki ishq mein phir KHandan na dun
kya KHak aab-dari-e-tegh us se ho ki hai
wo chashm-e-surma-sa jo ba-sang-e-fasan fusun
'jurat' zi-bas hain ahl-e-jahan harf-e-na-shunu
daKHil suKHan main kyunki ba-gosh-e-giran karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.