la-makan lag aashiqan ke ishq ka parwaz hai
lā-makāñ lag āshiqāñ ke ishq kā parvāz hai
āsmān aur arsh-o-kursī un kā pā-andāz hai
ik tafakkur un kā afzal az-tā.at-e-hafta-o-sāl
sab ḳhalā.iq par unhoñ kā is sabab e.azāz hai
ālimāñ aur ābidāñ kī bandagī sab qīl-o-qāl
āshiqāñ ke dil meñ raushan jo ki maḳhfī raaz hai
mūtū-qabla-an-tamūtū haal hai ushshāq kā
ālimāñ ke gosh meñ us harf kā āvāz hai
bul-havas ko sham.a se dil bāñdhnā mumkin nahīñ
āshiqāñ kā is sabab zāhid sadā aġhmāz hai
ḳhair o shar suuñ āshiqāñ be-dil nahīñ aur būjhte
rañj o rāhat ishq meñ ma.ashūq kā sab naaz hai
Tal ga.e is ma.arke suuñ ka.ī hazārāñ ai 'alīm'
jo rahā so naam us kā āshiq-e-jāñ-bāz hai
la-makan lag aashiqan ke ishq ka parwaz hai
aasman aur arsh-o-kursi un ka pa-andaz hai
ek tafakkur un ka afzal az-taat-e-hafta-o-sal
sab KHalaiq par unhon ka is sabab eazaz hai
aaliman aur aabidan ki bandagi sab qil-o-qal
aashiqan ke dil mein raushan jo ki maKHfi raaz hai
mutu-qabla-an-tamutu haal hai ushshaq ka
aaliman ke gosh mein us harf ka aawaz hai
bul-hawas ko shama se dil bandhna mumkin nahin
aashiqan ka is sabab zahid sada aghmaz hai
KHair o shar sun aashiqan be-dil nahin aur bujhte
ranj o rahat ishq mein mashuq ka sab naz hai
Tal gae is marke sun kai hazaran ai 'alim'
jo raha so nam us ka aashiq-e-jaan-baz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.