la-makan-o-makan bolta hai
lā-makāñ-o-makāñ boltā hai
jaise saarā jahān boltā hai
kyoñ haiñ ahl-e-zabān mohr-ba-lab
kyā koī be-zabān boltā hai
koī suntā nahīñ kisī kī har ik
apnī apnī zabān boltā hai
laakh gard-e-safar rahe ḳhāmosh
rahguzar kā nishān boltā hai
saarī mahfil dhuāñ dhuāñ sī huī
kaun sho.ala-bayān boltā hai
ḳhushk dhartī bhī chup nahīñ rahtī
jab kabhī āsmān boltā hai
vahm hai ik umīd-e-sub.h-e-tarab
mujh se merā gumān boltā hai
āsmāñ tak hai gosh-bar-āvāz
kaun ye darmiyān boltā hai
rañg-e-ruḳh be-zabāñ sahī 'at.har'
dil kā hai tarjumān boltā hai
la-makan-o-makan bolta hai
jaise sara jahan bolta hai
kyon hain ahl-e-zaban mohr-ba-lab
kya koi be-zaban bolta hai
koi sunta nahin kisi ki har ek
apni apni zaban bolta hai
lakh gard-e-safar rahe KHamosh
rahguzar ka nishan bolta hai
sari mahfil dhuan dhuan si hui
kaun shoala-bayan bolta hai
KHushk dharti bhi chup nahin rahti
jab kabhi aasman bolta hai
wahm hai ek umid-e-subh-e-tarab
mujh se mera guman bolta hai
aasman tak hai gosh-bar-awaz
kaun ye darmiyan bolta hai
rang-e-ruKH be-zaban sahi 'athar'
dil ka hai tarjuman bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.