la pila de saqiya paimana paimane ke baad
lā pilā de sāqiyā paimāna paimāne ke baa'd
baat matlab kī karūñgā hosh aa jaane ke baa'd
jo jalātā hai kisī ko ḳhud bhī jaltā hai zarūr
sham.a bhī jaltī rahī parvāna jal jaane ke baa'd
dil mirā lene kī ḳhātir minnateñ kyā kyā na kiiñ
kaise nazreñ pher liiñ matlab nikal jaane ke baa'd
uTh chalo bas a zafar is mahfil-e-aġhyār se
varna piinī hī paḌegī daur chal jaane ke baa'd
la pila de saqiya paimana paimane ke ba'd
baat matlab ki karunga hosh aa jaane ke ba'd
jo jalata hai kisi ko KHud bhi jalta hai zarur
shama bhi jalti rahi parwana jal jaane ke ba'd
dil mera lene ki KHatir minnaten kya kya na kin
kaise nazren pher lin matlab nikal jaane ke ba'd
uTh chalo bas a zafar is mahfil-e-aghyar se
warna pini hi paDegi daur chal jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.