lahut par na dekhen jo qudsiyan tamasha
lahut par na dekhen jo qudsiyan tamasha
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
lāhūt par na dekheñ jo qudsiyāñ tamāshā
so ham ko hai dikhātā ishq-e-butāñ tamāshā
Tuk kiije chashm-e-dil se yaañ sair mai-kade kī
haigā ajab maze kā pīr-e-muġhāñ tamāshā
jis ne sune ye mere ash.ār ḳhush ho bolā
nām-e-ḳhudā hai to kuchh ai naujavāñ tamāshā
allāh rī fasāhat allāh rī balāġhat
aisā kahāñ jhamakḌā aisā kahāñ tamāshā
shoḳhī adā so aisī josh-o-ḳharosh itnā
bandish dhuāñ so ye aur tarz-e-bayāñ tamāshā
dīvān saiñkaḌoñ haiñ ham ne to dekhe lekin
in meñ nazar paḌā kab paayā jo yaañ tamāshā
kyā ḳhuub vaah māshā-allāh hai ajab kuchh
dīvān-e-mīr inshā-'allāh' ḳhaañ tamāshā
lahut par na dekhen jo qudsiyan tamasha
so hum ko hai dikhata ishq-e-butan tamasha
Tuk kije chashm-e-dil se yan sair mai-kade ki
haiga ajab maze ka pir-e-mughan tamasha
jis ne sune ye mere ashaar KHush ho bola
nam-e-KHuda hai to kuchh ai naujawan tamasha
allah ri fasahat allah ri balaghat
aisa kahan jhamakDa aisa kahan tamasha
shoKHi ada so aisi josh-o-KHarosh itna
bandish dhuan so ye aur tarz-e-bayan tamasha
diwan sainkaDon hain hum ne to dekhe lekin
in mein nazar paDa kab paya jo yan tamasha
kya KHub wah masha-allah hai ajab kuchh
diwan-e-mir insha-'allah' KHan tamasha
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.