lai teri mahfil mein mujhe aarzu-e-did
laa.ī tirī mahfil meñ mujhe ārzū-e-dīd
darpesh hai phir marhala-e-tūr kī tajdīd
māyūs tamannāoñ ko ai dost tirī yaad
jaise ufq-e-bīm pe ik aḳhtar-e-ummīd
ḳhud apnā qafas ban ga.ī kotāhi-e-parvāz
kuchh duur nahīñ varna jahān-e-mah-o-ḳhurshīd
ek ek adā shauq kī tahzīb pe maa.il
ek ek nazar shoḳhi-e-jazbāt kī tanqīd
jo ḳhud na samajh paa.e vo samjhā.e to kaise
afkār meñ ib.hām to guftār meñ tāqīd
jiinā bhī ibādat use piinā bhī ibādat
hāsil ho jise chashm-e-siyah-mast kī tā.īd
pindār-e-junūñ ho na sakā rām-e-gudā.ī
raas aa.e na 'tābāñ' mujhe altāf-e-sanādīd
lai teri mahfil mein mujhe aarzu-e-did
darpesh hai phir marhala-e-tur ki tajdid
mayus tamannaon ko ai dost teri yaad
jaise ufq-e-bim pe ek aKHtar-e-ummid
KHud apna qafas ban gai kotahi-e-parwaz
kuchh dur nahin warna jahan-e-mah-o-KHurshid
ek ek ada shauq ki tahzib pe mail
ek ek nazar shoKHi-e-jazbaat ki tanqid
jo KHud na samajh pae wo samjhae to kaise
afkar mein ibham to guftar mein taqid
jina bhi ibaadat use pina bhi ibaadat
hasil ho jise chashm-e-siyah-mast ki taid
pindar-e-junun ho na saka ram-e-gudai
ras aae na 'taban' mujhe altaf-e-sanadid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.