lakh aawara sahi shahron ke fuTpathon pe hum
laakh āvāra sahī shahroñ ke fuTpāthoñ pe ham
laash ye kis kī liye phirte haiñ in hāthoñ pe ham
ab unhīñ bātoñ ko sunte haiñ to aatī hai hañsī
be-tarah īmān le aa.e the jin bātoñ pe ham
koī bhī mausam ho dil kī aag kam hotī nahīñ
muft kā ilzām rakh dete haiñ barsātoñ pe ham
zulf se chhantī huī us ke badan kī tābisheñ
hañs diyā karte the aksar chāñdnī rātoñ pe ham
ab unheñ pahchānte bhī sharm aatī hai hameñ
faḳhr karte the kabhī jin kī mulāqātoñ pe ham
lakh aawara sahi shahron ke fuTpathon pe hum
lash ye kis ki liye phirte hain in hathon pe hum
ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hansi
be-tarah iman le aae the jin baaton pe hum
koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin
muft ka ilzam rakh dete hain barsaton pe hum
zulf se chhanti hui us ke badan ki tabishen
hans diya karte the aksar chandni raaton pe hum
ab unhen pahchante bhi sharm aati hai hamein
faKHr karte the kabhi jin ki mulaqaton pe hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.