laakh ‘arz-e-vafā kare koī
na suneñ vo to kyā kare koī
is se tauhīn-e-‘ishq hotī hai
un se kyoñ iltijā kare koī
dard hī dil ko jab sukūñ baḳhshe
kis liye phir davā kare koī
aap sunte haiñ kab kisī kī baat
aap se baat kyā kare koī
maut bhī ik hayāt hai 'ābid'
maut kā ḳhauf kyā kare koī
lakh ‘arz-e-wafa kare koi
na sunen wo to kya kare koi
is se tauhin-e-‘ishq hoti hai
un se kyon iltija kare koi
dard hi dil ko jab sukun baKHshe
kis liye phir dawa kare koi
aap sunte hain kab kisi ki baat
aap se baat kya kare koi
maut bhi ek hayat hai 'abid'
maut ka KHauf kya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.