Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh dekhe hasin chehre to

Shabbir Nazish

lakh dekhe hasin chehre to

Shabbir Nazish

MORE BYShabbir Nazish

    laakh dekhe hasīn chehre to

    aisī hālat nahīñ thī pahle to

    ik nazar dekhne pe ye aalam

    ik nazar aur dekh lete to

    vo to ham ne tumheñ sañbhāl liyā

    ham bhī gar hosh meñ na hote to

    kis sohbat rang le baiThe

    aap aise nahīñ the pahle to

    maiñ huuñ kyā aa.ina pighal jaa.e

    agar aañkh bhar ke dekhe to

    lakh dekhe hasin chehre to

    aisi haalat nahin thi pahle to

    ek nazar dekhne pe ye aalam

    ek nazar aur dekh lete to

    wo to hum ne tumhein sanbhaal liya

    hum bhi gar hosh mein na hote to

    kis ki sohbat ka rang le baiThe

    aap aise nahin the pahle to

    main hun kya aaina pighal jae

    tu agar aankh bhar ke dekhe to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now