lakh karta rahe tawaf-e-haram
laakh kartā rahe tavāf-e-haram
dil ba-dastūr hai ḳhud ek sanam
jin rafīqoñ ke ġham ko apnāyā
vo bhī aa.e barā-e-pursish-e-ġham
zulmat-e-shab kī aañkh kā taarā
merā dil jis pe din ke laakh sitam
raushnī kī ramaq nahīñ dil meñ
tere māthe kī chāñdnī kī qasam
muntashir ho rahā hai zauq-e-nazar
rif.at-e-ārzū kahāñ haiñ ham
lakh karta rahe tawaf-e-haram
dil ba-dastur hai KHud ek sanam
jin rafiqon ke gham ko apnaya
wo bhi aae bara-e-pursish-e-gham
zulmat-e-shab ki aankh ka tara
mera dil jis pe din ke lakh sitam
raushni ki ramaq nahin dil mein
tere mathe ki chandni ki qasam
muntashir ho raha hai zauq-e-nazar
rifat-e-arzu kahan hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.