lakh koi de dilasa aapko
laakh koī de dilāsa aap ko
aap kā ġham aap kā hī hotā hai
mil to jaate haiñ ka.ī kañdhe magar
bojh apnā aadmī ḳhud Dhotā hai
kaun royā raftagāñ ke ġham meñ yaañ
tū ḳhayāl-e-marg kar ke rotā hai
raat bhar mātam manā kar sub.h meñ
os se gul daaġh shab ke dhotā hai
lakh koi de dilasa aap ko
aap ka gham aap ka hi hota hai
mil to jate hain kai kandhe magar
bojh apna aadmi KHud Dhota hai
kaun roya raftagan ke gham mein yan
tu KHayal-e-marg kar ke rota hai
raat bhar matam mana kar subh mein
os se gul dagh shab ke dhota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.