lakh rahe shahron mein phir bhi andar se dehati the
laakh rahe shahroñ meñ phir bhī andar se dehātī the
dil ke achchhe log the lekin thoḌe se jazbātī the
ab bhī aksar ḳhvāb meñ un ke dhuñdle chehre aate haiñ
merī guḌiyā kī shādī meñ jo nanhe bārātī the
apne gird lakīreñ khīñcheñ aur phir un meñ qaid hue
is duniyā meñ khel the jitne saare hī tabqātī the
jhoñpaḌiyoñ meñ rahne vaale un kī fitrat jaan ga.e
kabhī kabhī chaḌh aane vaale naale jo barsātī the
jis bādal ne sukh barsāyā jis kī chhāñv meñ priit milī
āñkheñ khol ke dekhā to vo sab mausam lamhātī the
jin ko baḌā maanā thā maiñ ne 'farhat' vo kyuuñ bhuul ga.e
kuchh goshe mere jīvan ke bilkul mere zaatī the
lakh rahe shahron mein phir bhi andar se dehati the
dil ke achchhe log the lekin thoDe se jazbaati the
ab bhi aksar KHwab mein un ke dhundle chehre aate hain
meri guDiya ki shadi mein jo nanhe baraati the
apne gird lakiren khinchen aur phir un mein qaid hue
is duniya mein khel the jitne sare hi tabqati the
jhonpaDiyon mein rahne wale un ki fitrat jaan gae
kabhi kabhi chaDh aane wale nale jo barsati the
jis baadal ne sukh barsaya jis ki chhanw mein prit mili
aankhen khol ke dekha to wo sab mausam lamhati the
jin ko baDa mana tha main ne 'farhat' wo kyun bhul gae
kuchh goshe mere jiwan ke bilkul mere zati the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.