lakhon dinon ke bojh tale gham-rasida log
lākhoñ dinoñ ke bojh tale ġham-rasīda log
apnī talāsh meñ haiñ ravāñ sar-burīda log
dhāge ḳhushī ke apne badan se lapeT kar
zaḳhmoñ kī bastiyoñ meñ rahe āb-dīda log
bohrān mere ism ko de kar chale ga.e
jo mere ahd meñ the kabhī nā-shunīda log
pighlā huā hai zehn taqāzoñ kī dhuup se
mahfil meñ hañs rahe haiñ magar shab-gazīda log
ik ahd ke safar meñ anā bhī sharīk thī
lekin use samajh na sake be-aqīda log
vo mere hī ḳhayāl ke raushan nishān haiñ
lafzoñ meñ jo bayān hue ḳhat-kashīda log
mere lahū ko chhīn ke bāzār meñ bike
tājir mire shu.ūr ke 'tāhir' na-dīda log
lakhon dinon ke bojh tale gham-rasida log
apni talash mein hain rawan sar-burida log
dhage KHushi ke apne badan se lapeT kar
zaKHmon ki bastiyon mein rahe aab-dida log
bohran mere ism ko de kar chale gae
jo mere ahd mein the kabhi na-shunida log
pighla hua hai zehn taqazon ki dhup se
mahfil mein hans rahe hain magar shab-gazida log
ek ahd ke safar mein ana bhi sharik thi
lekin use samajh na sake be-aqida log
wo mere hi KHayal ke raushan nishan hain
lafzon mein jo bayan hue KHat-kashida log
mere lahu ko chhin ke bazar mein bike
tajir mere shuur ke 'tahir' na-dida log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.