lakhon gham chhupae hain ek KHushi ke parde mein
lākhoñ ġham chhupā.e haiñ ik ḳhushī ke parde meñ
dard hī ke saa.e haiñ har hañsī ke parde meñ
kyā yaqīñ kareñ yaaro apne hoñ ki begāne
dushmanī hī paate haiñ dostī ke parde meñ
ye bhī to haqīqat hai talḳh hī sahī lekin
maut hī ke saa.e haiñ zindagī ke parde meñ
hasratoñ kī bastī meñ hai janāza armāñ kā
kulfateñ hī paate haiñ dil lagī ke parde meñ
vo jafā ke ḳhūgar haiñ ham vafā ke parvarda
ulfateñ bhī paate haiñ barhamī ke parde meñ
apnī kam-nasībī kā kyā kareñ gila 'āzim'
tīrgī hī paate haiñ raushnī ke parde meñ
lakhon gham chhupae hain ek KHushi ke parde mein
dard hi ke sae hain har hansi ke parde mein
kya yaqin karen yaro apne hon ki begane
dushmani hi pate hain dosti ke parde mein
ye bhi to haqiqat hai talKH hi sahi lekin
maut hi ke sae hain zindagi ke parde mein
hasraton ki basti mein hai janaza arman ka
kulfaten hi pate hain dil lagi ke parde mein
wo jafa ke KHugar hain hum wafa ke parwarda
ulfaten bhi pate hain barhami ke parde mein
apni kam-nasibi ka kya karen gila 'azim'
tirgi hi pate hain raushni ke parde mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.