lala-ru tum ghair ke pale paDe
lāla-rū tum ġhair ke paale paḌe
dekhne ke haiñ hameñ laale paḌe
jab nazar surme ke dumbāle paḌe
dil ke pīchhe tiir aur bhāle paḌe
is baras furqat meñ tere ashk ke
chashm se bahte haiñ parnāle paḌe
ham havā-e-vasl meñ yaañ tak phire
jo havas ke paañv meñ chhāle paḌe
aariz us ke par nahīñ zulf-e-siyāh
ganj par sote haiñ do kaale paḌe
aah aur naale ke girdā-gird dil
phirte haiñ rātoñ ko rakhvāle paḌe
kyā nazākat hai ki bosa lete hī
hoñT par us gul ke tab ḳhāle paḌe
āñkheñ us ḳhūñ-ḳhār se phir jā laḌīñ
zaḳhm-e-dil ke haiñ abhī aale paḌe
ishq ke hāthoñ se juuñ farhād-o-qais
kyā kahīñ kis kis ke ghar ghāle paḌe
āshiq us kī mast āñkhoñ ke mudām
phirte haiñ behosh matvāle paḌe
shaiḳh tum filhāl dar-bazm-e-sama.a
bad-usūlī se ho be-tāle paḌe
apne ghar meñ shaiḳh añdherī raat meñ
haath jo aave use jā le paḌe
khole ye shīshoñ ke muñh saaqī ne aaj
bazm meñ tirte haiñ kyā pyāle paḌe
uḌte phirte haiñ zamīñ par shakl-e-abr
parcha parcha ruuī ke gaale paḌe
dar par us gul ke 'muhib' tum se hazār
phirte haiñ dil bechne vaale paḌe
lala-ru tum ghair ke pale paDe
dekhne ke hain hamein lale paDe
jab nazar surme ke dumbaale paDe
dil ke pichhe tir aur bhaale paDe
is baras furqat mein tere ashk ke
chashm se bahte hain parnale paDe
hum hawa-e-wasl mein yan tak phire
jo hawas ke panw mein chhaale paDe
aariz us ke par nahin zulf-e-siyah
ganj par sote hain do kale paDe
aah aur nale ke girda-gird dil
phirte hain raaton ko rakhwale paDe
kya nazakat hai ki bosa lete hi
honT par us gul ke tab KHale paDe
aankhen us KHun-KHar se phir ja laDin
zaKHm-e-dil ke hain abhi aale paDe
ishq ke hathon se jun farhad-o-qais
kya kahin kis kis ke ghar ghaale paDe
aashiq us ki mast aankhon ke mudam
phirte hain behosh matwale paDe
shaiKH tum filhaal dar-bazm-e-sama
bad-usuli se ho be-tale paDe
apne ghar mein shaiKH andheri raat mein
hath jo aawe use ja le paDe
khole ye shishon ke munh saqi ne aaj
bazm mein tirte hain kya pyale paDe
uDte phirte hain zamin par shakl-e-abr
parcha parcha rui ke gale paDe
dar par us gul ke 'muhib' tum se hazar
phirte hain dil bechne wale paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.