Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lala-zaron mein zard phul hun main

Abid Munavari

lala-zaron mein zard phul hun main

Abid Munavari

MORE BYAbid Munavari

    lāla-zāroñ meñ zard phuul huuñ maiñ

    fasl-e-gul hai magar malūl huuñ maiñ

    chāñd-tāroñ ko rashk hai mujh par

    tere qadmoñ sirf dhuul huuñ maiñ

    kyuuñ mujhe sañgsār karte ho

    kab ye maiñ ne kahā rasūl huuñ maiñ

    nūr-e-sar-mastī-e-abad huuñ magar

    mai-e-shaffāf meñ hulūl huuñ maiñ

    ranj-o-ġham kyuuñ na merī qadr kareñ

    be-ġharaz aur bā-usūl huuñ maiñ

    chāñdnī kyā payām laa.ī hai

    aaj kuchh aur bhī malūl huuñ maiñ

    sab ke haq meñ huuñ shāḳh-e-gul lekin

    sirf apne liye babūl huuñ maiñ

    mujh pe yūrish-e-alam kyuuñ hai

    jab haqīqat meñ terī bhuul huuñ maiñ

    ġham-e-hijrāñ vo sahī 'ābid'

    koī to hai jise qubūl huuñ maiñ

    lala-zaron mein zard phul hun main

    fasl-e-gul hai magar malul hun main

    chand-taron ko rashk hai mujh par

    tere qadmon ki sirf dhul hun main

    kyun mujhe sangsar karte ho

    kab ye main ne kaha rasul hun main

    nur-e-sar-masti-e-abad hun magar

    mai-e-shaffaf mein hulul hun main

    ranj-o-gham kyun na meri qadr karen

    be-gharaz aur ba-usul hun main

    chandni kya payam lai hai

    aaj kuchh aur bhi malul hun main

    sab ke haq mein hun shaKH-e-gul lekin

    sirf apne liye babul hun main

    mujh pe hi yurish-e-alam kyun hai

    jab haqiqat mein teri bhul hun main

    gham-e-hijran hi wo sahi 'abid'

    koi to hai jise qubul hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now