lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani
lālach se aur jaur-o-jafā se nahīñ banī
apnī zamīn vaale ḳhudā se nahīñ banī
ḳhushiyoñ ke saath rah na sake ek pal kabhī
ya.anī charāġhiyoñ kī havā se nahīñ banī
sunñe kī had talak use ik baar kyā sunā
kānoñ kī phir kisī bhī sadā se nahīñ banī
apnī anā kī ret pe apne usuul pe
paalā vo dard jis kī davā se nahīñ banī
ham ne isī zamīn pe 'fānī' khilā.e phuul
muddat se jis zamīñ kī ghaTā se nahīñ banī
lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani
apni zamin wale KHuda se nahin bani
KHushiyon ke sath rah na sake ek pal kabhi
yani charaghiyon ki hawa se nahin bani
sunne ki had talak use ek bar kya suna
kanon ki phir kisi bhi sada se nahin bani
apni ana ki ret pe apne usul pe
pala wo dard jis ki dawa se nahin bani
hum ne isi zamin pe 'fani' khilae phul
muddat se jis zamin ki ghaTa se nahin bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.