lawe KHatir mein hamare dil ko wo maghrur kya
laave ḳhātir meñ hamāre dil ko vo maġhrūr kyā
jis ke aage mahr kyā mah kyā parī kyā huur kyā
dil nayā ham ne lagāyā hai batā do mehrbāñ
us kī hai rah kyā ravish kyā rasm kyā dastūr kyā
yaad hoñ ayyāriyāñ jis ko bahut ham kyā kareñ
us ke aage makr kyā jul kyā fusūñ kyā zor kyā
yuuñ kahā ham leñge bosa ab to chhū kar zulf ko
bolā muñh kyā dast-gah kyā taab kyā maqdūr kyā
ham ko chāhat ek sī hai us parī-rū se 'nazīr'
rū-ba-rū kyā dur qafā kyā muttasil kyā duur kyā
lawe KHatir mein hamare dil ko wo maghrur kya
jis ke aage mahr kya mah kya pari kya hur kya
dil naya hum ne lagaya hai bata do mehrban
us ki hai rah kya rawish kya rasm kya dastur kya
yaad hon ayyariyan jis ko bahut hum kya karen
us ke aage makr kya jul kya fusun kya zor kya
yun kaha hum lenge bosa ab to chhu kar zulf ko
bola munh kya dast-gah kya tab kya maqdur kya
hum ko chahat ek si hai us pari-ru se 'nazir'
ru-ba-ru kya dur qafa kya muttasil kya dur kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.