lazim hai koi zaria-e-izhaar mere dost
lāzim hai koī zarī'ā-e-iz.hār mire dost
nafrat na bane bā.is-e-inkār mire dost
ham tujh se mulāqāt ke ḳhvāhāñ to bahut the
par log bane raah kī dīvār mire dost
mā'lūm hai jab lauT ke aatā nahīñ koī
dekhā kiye rasta tirā bekār mire dost
us naam se mausam bhī badalne pe tulā hai
likkhā thā jise ret pe ik baar mire dost
lazim hai koi zari'a-e-izhaar mere dost
nafrat na bane bais-e-inkar mere dost
hum tujh se mulaqat ke KHwahan to bahut the
par log bane rah ki diwar mere dost
ma'lum hai jab lauT ke aata nahin koi
dekha kiye rasta tera bekar mere dost
us nam se mausam bhi badalne pe tula hai
likkha tha jise ret pe ek bar mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.