lab-e-dariya jo pyase mar gae hain
lab-e-dariyā jo pyāse mar ga.e haiñ
junūñ kā naam raushan kar ga.e haiñ
husainī qāfila jab yaad aayā
kaTore āñsuoñ se bhar ga.e haiñ
jinheñ sūraj ne bhī dekhā na hogā
vo nañge paañv nañge sar ga.e haiñ
vo kab ke jā base us paar lekin
ka.ī yādeñ yahāñ bhī dhar ga.e haiñ
jinheñ thā shauq mela dekhne kā
vo saare log apne ghar ga.e haiñ
hamāre ahd kā ye alamiya hai
ujāle tīrgī se Dar ga.e haiñ
tū un ko DhūñDhtā phirtā hai 'hasrat'
jo duniyā se kinārā kar ga.e haiñ
lab-e-dariya jo pyase mar gae hain
junun ka nam raushan kar gae hain
husaini qafila jab yaad aaya
kaTore aansuon se bhar gae hain
jinhen suraj ne bhi dekha na hoga
wo nange panw nange sar gae hain
wo kab ke ja base us par lekin
kai yaaden yahan bhi dhar gae hain
jinhen tha shauq mela dekhne ka
wo sare log apne ghar gae hain
hamare ahd ka ye alamiya hai
ujale tirgi se Dar gae hain
tu un ko DhunDhta phirta hai 'hasrat'
jo duniya se kinara kar gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.