lab-e-fasurda ko saghar talash karta hai
lab-e-fasurda ko sāġhar talāsh kartā hai
shikasta naav ko langar talāsh kartā hai
vo kaun shaḳhs thā jo dasht-e-zulmat-e-ġham meñ
masarratoñ kā samundar talāsh kartā hai
zarūr chheḌegā haq kī laḌā.ī kāġhaz par
qalam ḳhayāl kā lashkar talāsh kartā hai
safar jo kartā hai himmat kī rahnumā.ī meñ
qadam qadam pe vo Thokar talāsh kartā hai
ġhazal ke jism pe bāzār-e-fan kā saudāgar
taḳhayyulāt kā zevar talāsh kartā hai
jo chāñd maan luuñ us ko to maan luuñ kaise
jo ḳhud charāġh-e-munavvar talāsh kartā hai
'qamar' ko shām-o-sahar hai talāsh-e-fikr-o-nazar
jo jauharī hai vo gauhar talāsh kartā hai
lab-e-fasurda ko saghar talash karta hai
shikasta naw ko langar talash karta hai
wo kaun shaKHs tha jo dasht-e-zulmat-e-gham mein
masarraton ka samundar talash karta hai
zarur chheDega haq ki laDai kaghaz par
qalam KHayal ka lashkar talash karta hai
safar jo karta hai himmat ki rahnumai mein
qadam qadam pe wo Thokar talash karta hai
ghazal ke jism pe bazar-e-fan ka saudagar
taKHayyulat ka zewar talash karta hai
jo chand man lun us ko to man lun kaise
jo KHud charagh-e-munawwar talash karta hai
'qamar' ko sham-o-sahar hai talash-e-fikr-o-nazar
jo jauhari hai wo gauhar talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.