lab-e-KHamosh ka bayan hun main
lab-e-ḳhāmosh kā bayāñ huuñ maiñ
kanz-e-maḳhfī hai vo ayaañ huuñ maiñ
mere andar lahū-luhān hai haq
koī karbal sī dāstāñ huuñ maiñ
boltā huuñ maiñ hai zabān us kī
mujh meñ vo hai nihāñ kahāñ huuñ maiñ
pūchh mujh se jo pūchhnā hai tujhe
sirr-e-maḳhfī kā rāz-dāñ huuñ maiñ
jiibh kaaTī alī alī nā rukā
ek mīsam sā be-zabāñ huuñ maiñ
tūr-e-dil jal gayā mirā 'ālam'
ik tajallī kī dāstāñ huuñ maiñ
lab-e-KHamosh ka bayan hun main
kanz-e-maKHfi hai wo ayan hun main
mere andar lahu-luhan hai haq
koi karbal si dastan hun main
bolta hun main hai zaban us ki
mujh mein wo hai nihan kahan hun main
puchh mujh se jo puchhna hai tujhe
sirr-e-maKHfi ka raaz-dan hun main
jibh kaTi ali ali na ruka
ek misam sa be-zaban hun main
tur-e-dil jal gaya mera 'alam'
ek tajalli ki dastan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.